बालों को लम्बा और सुंदर बनाने का तरीका, HAIR TIPS
Baal ka lamba hona mahilao ke liye sar ka taaj hota hai Lambe, kale, Ghana, mulayam kesh striyo ke
liye saundarya ka prateek hai Har ladaki
ka sapana hota lambe balon ka…sundar, sunahare, kale aur ghane-lambe bal kaun
nahi chahata. Ladake bhi unhi ladakiyon ke taraf attract jyada hote hain jinake
BAL lambe hote hain. lambe balon me ap koi bhi style kar sakate hain vahin
chhote balon me jyada style nahi ho pata hai Aaj kal busy lifestyle mein jin ke
baal lambe hai voh apne balo ki hairstyle karvati hai aur chote karva deti hai.
Doosri tarah voh hai jinke baal chote hai aur voh lambe baal chahti hai. Aisi
mahilao ke liye yahan par prastut hai balo ko badhane ke upay Yeh sabhi
prakrutik tarike hai jis se baalo ko fayda hota hai aur kudrati lambe hone
lagte hai mein aap dekhenge ki ghar mein hi jo upasthit hai aise padarth ka
upyog aap kare to baal lambe aur ghane ho jaayenge Lekin yeh har ek ke
bhagya mein nahin hai. Kisi ko dry hair hai, kisi ko rough hair hota hai, kisi
ko hair fall ka samasya hai, kisi ko baal safed hone ka problem hai. In sab ke
liye expensive treatment ki jaroorat
nahin hai gharelu nuskhe hi kaafi hai. Ghar mein hi uplabdh cheezo dwara aap aajma sakte hai aur phir dekhiye kaise aap
ke kesh sundar, ghane aur mulayam ho jaate hai. Har ladaki ka sapana hota
lambe balon ka…sundar, sunahare, kale aur ghane-lambe bal kaun nahi chahata.
ladake bhi unhi ladakiyon ke taraf attract jyada hote hain jinake bal lambe
hote hain. lambe balon me ap koi bhi style kar sakate hain vahin chhote balon
me jyada style nahi ho pata hai. Lekin sabse badi
baat hai, jo aapko hamesha dhyan rakhne ki hai. Baalo ke ilaj ke liye natural
treatment ka hi use kare. Isse aapke baalo ko koi nuksaan bhi nahi hoga. Saath
hi aapke baal jaldi kale ghane aur sundar ho jayenge.
Baalo ko girne se roke :-
Badhti umar main
hair fall ka problem pareshan kar deta hai. Young logo ko bhi hair fall ka
samasya hota hai. Nimn likhit gharelu nuskhe for hair ka prayog kare
Amla powder aur shikakai powder raat ko paani mein bhigo de
aor ise pratah kaal chaan kar baalo ko dho de aur phir nariyal tel laga
le.
Kumari (aloe vera) ke ras ka
prayog hair fall rokta hai.
Ande (eggs) ka safed hissa baalo
mein lagaye. Akela ya to phir chai ka paani aur nimbu ke saath. Aap chahe to
ismein kaali mirch powder mila le
Agar sar par ganjapan aaya hai
to yashtimadhu ka churna, kali mirch powder aur nimbu ke beej ka churna pani
mein mila ke in jagah par lep karte rahe. Bal ko jhadne se rokne ke liye kele
ka guda aur nimbu ka ras behtreen upay
hai.
Baal Badhane Ka Tarika :-
Aise baalo ki lambai badhaye. Jab bhi humare baal
jherte hai to yahi prashen dimaag mein ata hai sir ke baal badane ka upaya kya
hai to aap apnaye aur sath me ye bhi kare
Pyaj ka ras :-
Jab ghar me khane ke liye masale
taiyar karne ke liye Pyaz kati jati hai tab aankho me aansu aane lagte hai. Uss
samay hum koshish karte hai, ki jaldi se pyaz katne kaam khatam ho jaye, lekin
kya aap jante hai ki pyaz hamare baalo ke liye bahut accha hota hai. Isme
sulphur paya jata hai, jo ki baalo ko dubara ugane me sahayak hote hai aur
girte baalo ko rokane ke liye bhi bahut acche hote hai. To Phir aaiye hum aapko
batate hai,
Onion for
Hair
§
Isme sulphur paya
jata hai. Sulphur blood circulation badta hai aur baalo ko majboot banata hai.
§
Pyaz ka ras lagane
ya iske ras se malish karne se aapke sar ki twacha me blood circulation badega.
Jisse baalo ka vikaas hoga.
§
Jo ki mahnge mahnge
product ka use kar ke bhi aapko laabh nahi milta. Wahi onion ek bahut acchi Agar baalo par Pyaz ka paste rozana lagaya jaye to baalo
ko kisi bhi tarah ki pareshani nahi hogi aur wo khatam ho
§
Pyaz ka ras nikal
lijiye aur usme koi baalo ke tel ko mila lijiye aur apne sar par laga lijiye.
• Ise ek ghante laga rahne de aur baad me shampoo ka lijiye. Iske alaw aap sugandhit tel bhi laga sakte hai, jisae baalo se pjaz ki mahak bhi nikal jaye.
• Ise ek ghante laga rahne de aur baad me shampoo ka lijiye. Iske alaw aap sugandhit tel bhi laga sakte hai, jisae baalo se pjaz ki mahak bhi nikal jaye.
Avla :-
Balo ke liye Avla
bhot labdayk hota hai .Avle me
kerotinnied jese posak tatvo ki mojudgi
ke karan balo ko badne me maded milti hai agar apke baal kal nahi hai to Avla
aur Ritha ka powder mix kre ,baal kale ho jayege .Avle ke juice ko week me 1
baar lgane se baal teji se badne lagte hai
Khira :-
Khere me salfer
aur silikn ki matra adhik hone ke karan iske istmaal se baal teji se badne
lagte hai ,iske liye khere ke ras se apne balo ko dhoye ya fir khera ,gajar,palak ko mix krke iska ras pine
se baal badte hai
Methi ka churn
:-
Sabse phele ap
methi ke bijo ko churan bna le ,fir iska paste bnaker thoda sa pani mila le ,is
paste ko sr pe adhe ghante tk lga k rakhe aur fir dho le ,asa krne se baal
tejio se badne lgte hai aur balo ki rusi ki samsya bhi ktm ho jati hai
Balo ko Harbal
se dhoye :-
Mehndi ,neem
aur green tea smet kee ase harbel Hai
jisko balo par lgane se baal
lambe aur ghnhe hote hai mehndi isme sbse jada asardar hai ,kyuki yh balo ki
jado ko posan deta hai isse balo me chamak ati hai
KUCH
NAYE TIPS :-
Raat ko 8 ghante neend
poori le.
Fal aur sabji se bhara aahaar le. Vitamin B complex, iron aur vitamin E ke supplements lete rahe
Balo ki hairstyle mein aap baal dhoke turant kanghi na kare. Kanghi bhi
bade aur wide daanto wali upyog kare. Hairstyle mein free rakhe apne baalo ko.
Desi ghee se balo ki
malish kare. Desi ghee se baalon ki lambai jaldi badhaee ja sakti hai.
.
No comments :
Post a Comment